Jaane Do Jo Ja Chuka Hai Lyrics

Song Details: Jaane Do Jo Ja Chuka Hai Lyrics by Gaurav Tiwari. The song name is Waqt ki Baatein sung by Gaurav Tiwari.

Jaane Do Jo Ja Chuka Hai Lyrics

Maana Dil Dara Dara Hai
Toota ye zara zara hai
Dil ke is bawandar ko thehar jaane do

Hoth ye zara sile hain
Khamoshi ke silsile hain
Raat thodi gehri hai, Sehar aane do

To kya hua jo toota aaj sapna ye tera
To kya hua jo aaj koi apna na mila
Kabhi to poora hoga ye chaahaton ka ghar
Kabhi to mil hi jaega Tujhko humsafar

Tujh mai na kami koi hai
Bas tera ye din bura hai
Waqt ki ye baatein hain, ise guzar jane do

To kya hua jo badla wo jo kehta tha yahi
Badal bhi jaye duniya mai rahoonga bas wahi
Magar jahan zaroorat thi wo raha nahi
Sath ka to chhodo, khayal tak nahi

Jaane do jo Ja chuka hai
Kaun kab kahan ruka hai
Baatein ye fizool hain, inhe bhool jane do

Andheron mai hi rehne ke faisałe kiye
To Roshini mai aake ye mann kahan lage
Hai itni baar toota yakeen apno se
To Aitbaar kispe Nazar ye phir kare

Tu muskurana chahe to Darne lagta hai
Kahin nazar teri hi khushi ko na lage
Kisi pe aana chahe to kaise aye dil
Ye phir se Tootne ke khayal se Dare
Dare

Video Song

This is the end of Lyrics.