HUM DEKHENGE LYRICS – Faiz Ahmad Faiz

Hum Dekhenge Lyrics is poetry by Faiz Ahmad Faiz. The music of the song is given by Zohaib Kazi and Ali Hamza and Hum Dekhenge lyrics is written by Faiz Ahmad Faiz.

Song Credits

Song: Hum Dekhenge
Singer: Faiz Ahmad Faiz
Music: Zohaib Kazi and Ali Hamza
Lyrics: Faiz Ahmad Faiz

Hum Dekhenge Lyrics

Hum Dekhenge, Hum Dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum Dekhenge, Hum Dekhenge
Wo din ke jis ka wada hai
Jo lauh-e-azl mein likha hai, Hum Dekhenge
Hum bhi dekhenge, Hum bhi dekhenge

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
Rooi ki tarha ur jaenge, Hum Dekhenge
Hum mehkoomon ke paaon tale
Ye dharti dhar dhar dharkegi

Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
Jab bijli kar kar karkegi
Hum Dekhenge, Hum Dekhenge

Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayib bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Utthega an-al-haq ka nara
Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-Khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho

Hum Dekhenge, Hum Dekhenge
Hum Dekhenge, Hum Dekhenge

This is the end of Hum Dekhenge Lyrics.

Lyrics Written By: Faiz Ahmad Faiz